Sunday, 24 June 2012


My thought just given a shoulder of words

Zindagi Ki Talash

Kisi zindagi ki talaash mein, main fanaa ke ghaat utar gaya
Na woh mil saki mujhe zindagi.. main talaash karte karte guzar gaya

Meri chaahaton ka jo aks hai woh kahin nahin mere rahguzar
Unhi manzilon ki talaash mein main hazaar raahon se phir gaya

Na kisi ke dil ke tadap mein hoon na kisi ke harf-e-dua mein hoon
Main woh ek musht-e-ghubaar hoon jo hawa chali to bikhar gaya

Isi aarzoo ke saraab mein,  kabhi dhhop mein kabhi chhaaon mein
Isi aab-o-gil ke fareb mein main hazaar khwab guzar gaya

Na main raahaton ka hoon muntazir na hawas hai fasl-e-bahaar ki
Yeh Jahaa..n ke gham ko samet kar main khizaa..n ke saath guzar gaya

woh jo naqsh hai mere zehn mein woh kisi ke dil se judaa nahin
ye junoon hai mere ishq ka jo mere fanaa ke saath guzar gaya

isi justjoo ki tadap mein khursheed fareb khaata raha raat bhar
inhi jugnuon ke fareb mein main apne saans saans guzar gaya

Fanaa: Doomed,  Aks: image, Musht-e-ghubaar: handful of dust
Saraab: Miarage, Aab-o-gil: Water and clay, Hawas: Passion, Khizaan: Autumn
Justjoo: Search, Fareb: wandering, Jungnoo: firefly



Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Lamhon ki is gardish mein ,,,,,Mujhe tum yaad aate ho
Khwabon ki haseen mahfil,,,,, mein Mujhe tum yaad aate ho

Jab phool khile hon gulshan gulshan
Jab narm sawera ho dharti par
Jab bulbul chhede raag suhane
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho

Jab neela ambar baanh pasaare
Jab Odhe aanchal baadal ki
Jab rim jhim karta saawan aaye
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho

Jab sooraj thak kar so jaata hai
Jab shaam suhaani aati hai
Jab rangeen ho jaaye neela gagan
Tab dekhoon apne men mein
Mujhe tum yaad aate ho

Taaron ki haseen mahfil mein
Jab chaand akela neel gagan mein
Jab kuchh kahna chaahe …kuchh sun,na chaahe
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho

Jab noor ki baarshi hoti ho
Jab khwab suhane aate hon
Jab zakhm lage taabeeron ko
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho

Jab hairat-o-hasrat ka maara
Khursheed khada ho saahil par
Jab doobna’ chaahe ulfat ke bhanwar mein
Tab dekhoon apne man mein
Mujeh tum yaad aate ho

Noor: light, Tabeeron: Realty of dreams, ulfat: Love, Bhanwar : waves

Meri Daastaan


Mere dil ki kaifiyat hai koi daastaa..n nahin hai
Na samajh sake koi bhi koi raazdaa..n nahin hai

Na gila hai doston se na shikayat-e-zamana
Yeh fareb hai jaha..n ka yeh mera jaha..n nahin hai

Main na mil saka kisi ko koi mera ho na paaya
Yeh jahaan-e-rang-o-boo mein koi hamnawa nahin hai

Main kise sunaaoon ya rab meri daastan-e-hasrat
Meri aansuon ki qeemat tera gul sita..n nahin hai

Kaifiyat: status, Daastan: Untold story, Gila: complain, Jahan-e-rang-o-boo: colorful world
Gul..sita..n: Colorful gardens

Khamosh Kahani

Lab-e- khaamosh pe ek afsaana sa rahta hai
Zindagi ab to ek veeraana sa lagta hai

Hawa ke dosh pe aik toofan sa uttha tha
Ab to har taraf ek sannata sa rahta hai

Mushkil safar hai aur hamsafar ke beghair
Ab to manzilen bhi be maanaa sa lagta hai

meri khushi ko mit jaane ka gham hai
isi kashmkash mein khursheed aik deewana sa rahta hai

Afsaana: Story, Dosh: Shoulder, Kashmkash: Amazed.
Top of Form