My thought just given a shoulder of words
Zindagi
Ki Talash
Kisi zindagi ki talaash mein, main fanaa ke ghaat utar
gaya
Na woh mil saki mujhe zindagi.. main talaash karte karte
guzar gaya
Meri chaahaton ka jo aks hai woh kahin nahin mere
rahguzar
Unhi manzilon ki talaash mein main hazaar raahon se phir
gaya
Na kisi ke dil ke tadap mein hoon na kisi ke harf-e-dua
mein hoon
Main woh ek musht-e-ghubaar hoon jo hawa chali to bikhar gaya
Isi aarzoo ke saraab mein, kabhi dhhop mein kabhi
chhaaon mein
Isi aab-o-gil ke fareb mein main hazaar khwab guzar gaya
Na main raahaton ka hoon muntazir na
hawas hai fasl-e-bahaar ki
Yeh Jahaa..n ke gham ko samet kar
main khizaa..n ke saath guzar gaya
woh jo naqsh hai mere zehn mein woh kisi ke dil se judaa
nahin
ye junoon hai mere ishq ka jo mere fanaa ke saath guzar
gaya
isi justjoo ki tadap mein khursheed fareb khaata
raha raat bhar
inhi jugnuon ke fareb mein main apne saans saans guzar
gaya
Fanaa: Doomed, Aks: image, Musht-e-ghubaar: handful of dust
Saraab: Miarage, Aab-o-gil: Water
and clay, Hawas: Passion, Khizaan: Autumn
Justjoo: Search, Fareb: wandering,
Jungnoo: firefly
Mujhe
Tum Yaad Aate Ho
Lamhon ki is gardish mein ,,,,,Mujhe tum yaad aate ho
Khwabon ki haseen mahfil,,,,, mein Mujhe tum yaad aate ho
Jab phool khile hon gulshan gulshan
Jab narm sawera ho dharti par
Jab bulbul chhede raag suhane
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho
Jab neela ambar baanh pasaare
Jab Odhe aanchal baadal ki
Jab rim jhim karta saawan aaye
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho
Jab sooraj thak kar so jaata hai
Jab shaam suhaani aati hai
Jab rangeen ho jaaye neela gagan
Tab dekhoon apne men mein
Mujhe tum yaad aate ho
Taaron ki haseen mahfil mein
Jab chaand akela neel gagan mein
Jab kuchh kahna chaahe …kuchh sun,na chaahe
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho
Jab noor ki baarshi hoti ho
Jab khwab suhane aate hon
Jab zakhm lage taabeeron ko
Tab dekhoon apne man mein
Mujhe tum yaad aate ho
Jab hairat-o-hasrat ka maara
Khursheed khada ho saahil par
Jab doobna’ chaahe ulfat ke bhanwar mein
Tab dekhoon apne man mein
Mujeh tum yaad aate ho
Noor: light, Tabeeron: Realty of dreams, ulfat: Love,
Bhanwar : waves
Meri
Daastaan
Mere dil ki kaifiyat hai koi daastaa..n nahin hai
Na samajh sake koi bhi koi raazdaa..n nahin hai
Na gila hai doston se na shikayat-e-zamana
Yeh fareb hai jaha..n ka yeh mera jaha..n nahin hai
Main na mil saka kisi ko koi mera ho na paaya
Yeh jahaan-e-rang-o-boo mein koi hamnawa nahin hai
Main kise sunaaoon ya rab meri daastan-e-hasrat
Meri aansuon ki qeemat tera gul sita..n nahin hai
Kaifiyat: status, Daastan: Untold story, Gila: complain,
Jahan-e-rang-o-boo: colorful world
Gul..sita..n: Colorful gardens
Khamosh
Kahani
Lab-e- khaamosh pe ek afsaana sa rahta hai
Zindagi ab to ek veeraana sa lagta hai
Hawa ke dosh pe aik toofan sa uttha tha
Ab to har taraf ek sannata sa rahta hai
Mushkil safar hai aur hamsafar ke beghair
Ab to manzilen bhi be maanaa sa lagta hai
meri khushi ko mit jaane ka gham hai
isi kashmkash mein khursheed aik deewana sa
rahta hai
Afsaana: Story, Dosh: Shoulder, Kashmkash: Amazed.
No comments:
Post a Comment